dil ke ghutne ko ishaara samjho dahr ye apna khasara samjho ye bhi mumkin hai ki tum dur ke log is alaw ko sitara samjho ye bhi ek mauj hai mitti ki sahi waqt kam hai to kinara samjho par nahin hote khayalon ke to phir kaise udte hain ghubara samjho kise malum khazana mil jae koi naqsha to dobara samjho khet rul jaenge pagal-pan mein jang kaisi mujhe haara samjho