dil ke hathon shisha-e-idrak bhi dhundla kiye

dil ke hathon shisha-e-idrak bhi dhundla kiye
jo na dekha chahiye tha hum wahi dekha kiye

dhul ho is dars-gah-e-ilm ki kis ko nasib
apni hasti ji rahe hain hum jahan ruswa kiye

lamha bhar ko bhul baitha main kisi ka kuchh nahin
aur mere ahbab mujh ko kya se kya samjha kiye

barf ho kar aarizon ki ek tamazat ke tufail
muddaton hum aatish-e-sayyal se pighla kiye

ek likhe ko kitna padhte padh chuke hum umar bhar
zinda rah kar zindagi ki chah mein tadpa kiye

aasman chhune ki hasrat sab ko is ke bawajud
sare insan tu ne jab ki khak se paida kiye

zeb-e-chehra thin kharashen aaine bhi dhund the
hosh wale aankh rakh kar wahima samjha kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close