dil ke hote bhi kahin dard juda hota hai ek faqat maut ke aa jaane se kya hota hai zulm se zikr-e-wafa aur siwa hota hai un ki har ek burai mein bhala hota hai shohda nemat-e-duniya ki talab bhul gae khun ke ghunt mein aisa hi maza hota hai khud-faramoshi-e-ulfat hai ilaj-e-gham-e-dahr be-khabar hosh mein aana hi bura hota hai imtihan-gah teri mahfil-e-dilkash hai magar main bhi dekhun ki koi dil ke siwa hota hai tum se kahta hun mera khun mere dil pe sahi rasm-e-duniya hai ki apnon se gila hota hai bazm se uth to chala main ki mahal tha lekin rone walon se bhala koi khafa hota hai dekh hi lete hain sab naz-o-ada ki surat aaina aap ka naqsh-e-kaf-e-pa hota hai nala-e-dil ke asar ka na karo mujh se gila mujh ko kya ilm ki kis tarah rasa hota hai tauba tauba hai yahi ishq ki baatil nazari sang but-khane mein aate hi khuda hota hai kya sabab kuchh tujhe malum hai ai abr-e-bahaar dil ke murjhane se kyun zakhm hara hota hai wo kahen ya na kahen main hun asar se waqif bol uthta hai wo nala jo rasa hota hai raushni din ki abhi hai ki hain khoe hue hosh dekhna hai shab-e-tarik mein kya hota hai hijr ke dard ko badhne de ki hai muzhda-e-wasl wahi ghatta hai jahan mein jo siwa hota hai bad-nasibi ho to har khub ki khubi hai fuzul subh ka waqt sitaron ko bura hota hai dil to dil sar bhi kabhi hota hai mamnun-e-firaq jis mein hai ishq ye sauda wo juda hota hai mere raazi ba-raza hone se sab raazi hain warna jo hai wo shikayat se khafa hota hai awwalin marhala-e-ishq hai jab hasrat-o-maut koi batlae ki phir baad mein kya hota hai bim-o-ummid se kis tarah nikal jaun ki dil na thaharta hai jahan mein na fana hota hai muntazir naza mein chup hai to use chup na samajh dam ka ruk ruk ke nikalna bhi gila hota hai shab-e-tarik mein nikla to hai dekhun 'saqib' na-rasa rahta hai nala ki rasa hota hai