dil ke maron se baat karta hun apne yaron se baat karta hun raat tanha guzar hi jati hai jab sitaron se baat karta hun sab ko bas phul se mohabbat hai main hi kharon se baat karta hun tere hote hue zamane mein main hazaron se baat karta hun waqt par kaam kyon nahin aae ghamgusaron se baat karta hun ek muddat kiya khizan ka safar ab bahaaron se baat karta hun mai ko bhar kar gilas mein 'sohil' aabshaaron se baat karta hun