dil ki aag jawani ke rukhsaron ko dahkae hai bahe pasina mukhde par ya suraj pighla jae hai man ek nanha sa baalak hai humak humak rah jae hai dur se mukh ka chand dikha kar kaun use lalchae hai mai hai teri aankhon mein aur mujh pe nasha sa tari hai nind hai teri palkon mein aur khwab mujhe dikhlae hai tere qamat ki larzish se mauj-e-mai mein larzish hai teri nigah ki masti hi paimanon ko chhalkae hai tera dard salamat hai to marne ki ummid nahin lakh dukhi ho ye duniya rahne ki jagah ban jae hai