dil ki baat kya kahiye dil ajib basti hai roz ye ujadti hai aur roz basti hai pahle apni haalat pe hans le khud hi ji bhar ke dekh kar mujhe duniya tanz se jo hansti hai aaj ka zamana bhi wah kya zamana hai zindagi bahut mahngi maut kitni sasti hai us se dur kya hogi tirgi zamane ki shama raushni ko khud aaj jab tarasti hai