dil ki dahliz talak khud ko rasai dega mera lahja mere sheron mein sunai dega mera hona hai hua jis ki badaulat mumkin ab wo chehra meri aankhon mein dikhai dega main ne aankhon se tujhe dur kiya tha lekin ye na socha tha khuda aisi judai dega aur zarkhez karega ye mere lafzon ko hijr yakta hai to yakta hi kamai dega dekh kar dasht ke tewar main yahi sochti hun ishq abhi aur mujhe aabla-pai dega main ne us dil ko dhadakne se hai roka warna tu samajhta hai tujhe koi duhai dega