dil ki dhadkan ko aas kis ki hai zindagani mein pyas kis ki hai main kisi ka na koi mera hai phir ye nas nas mein pyas kis ki hai jis ko main ne kabhi nahin dekha mere andar ye sans kis ki hai kashmakash dil mein hai ye barson se aas kis ki hai yas kis ki hai har badan mein chhupa jo jauhar hai us mein bu aur bas kis ki hai khair mein shar ki ye 'rawish' kaisi dil se uthti bhadas kis ki hai