dil ki diwana tabiat ko musibat na bana tujh se yarana hai yarana mohabbat na bana main tujhe dil ki sunata hun mujhe tu dil ki is suhulat ko meri jaan aziyyat na bana hum ko le de ke talluq hi bacha hai tera is ko mashkuk na kar bais-e-tohmat na bana ek diwar ne rishton ka taqaddus toda bhai roka tha tujhe ghar mein ye lanat na bana nind ko taq pe dhar aur diya pahlu mein girya-e-akhir-e-shab mein koi diqqat na bana betiyan rizq mein barakat ka sabab hoti hain ghar ki rahmat ko ghalat soch se zahmat na bana aks ka hona hai mashrut tere hone se khud ko pahchan magar aks ko hairat na bana hu-ba-hu us ki adaon ki ada lazim hai yar ki sunnat-e-masud ko bidat na bana ikhtilafat hain insan ka khasa 'tahsin' bahs karni hai to kar bahs ko nafrat na bana