dil ki lagi ke sath ajab dil-lagi rahi

dil ki lagi ke sath ajab dil-lagi rahi
zalim se dosti mein bhi aksar thani rahi

wo dur ho gae to ye uljhan bani rahi
shayad mere khulus mein koi kami rahi

mahfil mein un ki pas-e-adab bhi zarur tha
khamosh thi zaban nazar bolti rahi

ausaf aajizi ke takabbur ne kha liye
kirdar-e-nasl-e-nau mein kahan aajizi rahi

deta raha jahan ko har ek sans ka hisab
kaisi azab-e-jaan ye meri zindagi rahi

gum-karda rah-e-shauq raha main tamam umr
manzil agarche rah meri dekhti rahi

'qaisar' utho ki aag lagi hai makan mein
jal jaoge jo tum mein yunhi be-hisi rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close