dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf kis liye aankh uthti kisi ki taraf kaisi uljhan he bazi-gah-e-shauq mein hum hain in ki taraf wo kisi ki taraf sirf ashk-o-tabassum mein uljhe rahe hum ne dekha nahin zindagi ki taraf hum jo ghol-e-bayaban se waqif nahin chal diye dur ki raushni ki taraf dair-o-kaba se pyasi jabinen liye aa gae hum teri bandagi ki taraf raat dhalte jab un ka khayal aa gaya tuktuki bandh gai chandni ki taraf jab na qasd-e-khudi ke dariche khule ahl-e-dil ho liye be-khudi ki taraf hum ne dil ki lagi un se ki thi bayan baat wo le gae dil-lagi ki taraf jada-e-agahi par badi bhid thi saikdon mud gae gumrahi ki taraf hain mere halqa-e-ilm mein bil-yaqin aasman ke payam aadmi ki taraf un ke jalwon ki jaanib nazar uth gai mauj thi badh gai chandni ki taraf kaun sa jurm hai kya sitam ho gaya aankh agar uth gai aap hi ki taraf jaane wo multafit hun kidhar bazm mein aansuon ki taraf ya hansi ki taraf us ke pindar-e-khud-agahi par na ja dekh insan ki bechaargi ki taraf apne mahaul mein kyun andhera karen der tak dekh kar raushni ki taraf maut ki rah aasan ho jaegi pyar se dekhiye zindagi ki taraf hum junun-mand bhi itne waqif to hain aql ka rukh hai waraftagi ki taraf shairi ki kisi manzil-e-dard mein ek daricha hai paighambari ki taraf jaane aankhon ne aankhon se kya kuchh kaha zindagi jhuk gai zindagi ki taraf 'danish' inkar khaliq se hota nahin dekhta hun main jab aadmi ki taraf