dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal hai bahut nazuk ye shisha is mein aa jae na baal aarzu-mandi mein bhi mushkil-pasandi ka junun dil usi ko chahta hai jis ka milna hai muhaal ek faqir-e-be-nawa ne mujh ko samjhaya ye raaz dard ki daulat ke aage hech hain mal o manal apni kam-zarfi ka gham hai aur koi gham nahin dil se tera gham na sambhla mujh ko hai bas ye malal itni khali bhi nahin duniya khulus-e-qalb se aa hi jate hain nazar hum aise mukhlis khal khal kirshn 'mohan' taba par tari hai aisi be-hisi ishq hai ji ka ziyan aur husn hai jaan ka wabaal