dil ki surat tere sine mein dhadakta hun main han ba-zahir tere hathon ka khilauna hun main ab jahan chand lab-e-baam ubharta hi nahin jaane kyun phir unhin galiyon se guzarta hun main kitna nadan tha main dub gaya jal bhi gaya wo bahut kahta raha aag ka dariya hun main aarzu thi ki gulabon ke dilon mein rahta ye saza pai ki kanton ka bichhauna hun main mere pas aa ke koi tishna-labi bhul gaya main to samjha tha ki tapta hua sahra hun main