dil kiya dast-e-sitam-gar ke hawale hum ne aaina kar diya patthar ke hawale hum ne dekhne ke liye maujon ki wasia-un-nazari tishnagi ki hai samundar ke hawale hum ne dekh to shauq-e-shahadat ki tamanna zalim kar diya sar tere khanjar ke hawale hum ne harf-e-tadbir ki tafsir samajhne ke liye na kiya khud ko muqaddar ke hawale hum ne aur kya dun main saza khwab-mahal ko aalam zindagi kar to di chhappar ke hawale hum ne