dil ko isi sabab se hai iztirab shayad

dil ko isi sabab se hai iztirab shayad
qasid phira hai le kar khat ka jawab shayad

aankhen chadhi hui hain baaten hain bahki bahki
aae ho tum kahin se pi kar sharab shayad

kya jaane kis hawa mein itna ubhar raha hai
hasti nahin samajhta apni habab shayad

mujh par jo wo sahar se is darja mehrban hain
shab ki dua hui hai kuchh mustajab shayad

bimar hun bandhi hai dhun raat-din safar ki
ghurbat mein apni mitti hogi kharab shayad

pichhle se wasl ki shab aasar subh ke hain
niklega raat hi se aaj aaftab shayad

aaya bahut dinon par zahid jo mai-kade mein
bhuli hui thi us ko rah-e-sawab shayad

barsat ki kami se kya qadr ghat gai hai
aisi kabhi biki ho arzan sharab shayad

apne dimagh mein to ab ye basi hui hai
behtar tere pasine se ho gulab shayad

bazm-e-adu mein aa kar jis tarah hum jale hain
dozakh mein ho kisi par aisa azab shayad

ashkon se tar hui thi yun raat sej un ki
yaad aa gaya tha koi hangam-e-khwab shayad

ai shaikh tu mila kar dekh un se umr apni
huron ka dhal gaya ho ab to shabab shayad

tauba 'hafiz' mai ka pad jae jis ko chaska
phir us se marte dam tak chhute sharab shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close