dil ko jo apne bas mein na paun to kya karun aankhen na rahguzar mein bichhaun to kya karun pa kar tumhein jo hosh nahin hai to kya hua kho kar tumhein jo hosh mein aaun to kya karun tum se kahin aziz tumhaara khayal hai de kar use tumhein bhi jo paun to kya karun aaenge aaj bahr-ayaadat wo mere ghar mare khushi ke mar hi na jaun to kya karun sabza ho roz-e-ab ho mai ho nigar ho ab bhi na main piyun na pilaun to kya karun hai jaan-o-dil aziz mujhe tum aziz-tar tum hi kaho ki dar pe na aaun to kya karun ab tak to shauq-e-did mein tha be-qarar main mil kar bhi tum se chain na paun to kya karun dozakh bhi hai qubul tumhaare karam ke sath jannat ko tujh se dur jo paun to kya karun mana ki ek rog hai ulfat bhi ai 'habib' us ke baghair dil bhi jo paun to kya karun