dil ko kya yar ke paikan liye baiThe hain

dil ko kya yar ke paikan liye baithe hain
sahab-e-khana ko mehman liye baithe hain

shor kyunkar na lab-e-zakhm-e-jigar se utthe
sunte hain phir wo namak-dan liye baithe hain

dam labon par hai yahan shauq-e-shahadat mera
ghar mein wo khanjar-e-burran liye baithe hain

sog ne un ke hazaron ko kiya saudai
wo abhi zulf-e-pareshan liye baithe hain

dil-e-pur-dagh se bahlate hain ji ko us bin
hum ye pahlu mein gulistan liye baithe hain

uthte hi pahlu se us parda-nashin ke hum bhi
chashm par gosha-e-daman liye baithe hain

kal to kabe ko chale hazrat-e-'tanwir' the lo
aaj mai-noshi ka saman liye baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close