dil ko phir banane mein waqt chahiye kuchh to kirchiyan uthane mein waqt chahiye kuchh to sath wo nahin pal ka umr bhar ka lagta tha us ko ab bhulane mein waqt chahiye kuchh to is qadar nahin aasan jitna hum ne samjha tha haal-e-dil sunane mein waqt chahiye kuchh to tinka tinka chun chun kar hum ne jo banaya tha aashiyan jalane mein waqt chahiye kuchh to aankh ka samundar se kuchh ajib rishta hai sail-e-gham bahane mein waqt chahiye kuchh to dard-e-dil badhane ko ek lamha kafi hai dard-e-dil ghatane mein waqt chahiye kuchh to phir palat ke jaane ki hum na rakhen khwahish bhi kashtiyan jalane mein waqt chahiye kuchh to zakhm jo purane hain un ko hum rafu kar len phir fareb khane mein waqt chahiye kuchh to jab wajud ka rishta had pe maut ki pahunche par us ke jaane mein waqt chahiye kuchh to