dil mein ek husn-e-tarah-dar ki ulfat bole bankpan bole mere sher ki nudrat bole ye imarat kisi diwane ka ghar lagti hai khastagi bole dar-o-baam ki hasrat bole muskurao ki ghurur-e-rah-e-zulmat ho tamam gungunao ki zara rang-e-tabiat bole dur se rahnumai to badi baat nahin sath aao ki taqaza-e-rifaqat bole zindagi dard-e-musalsal hai magar kya kahiye khud-farebi ki ada is ko bhi rahat bole ye bhi ek turfa-tamasha hai meri jaan-e-ghazal pyar bole na teri aankhon mein nafrat bole tazgi phulon ko kaliyon ko tabassum de de partaw-e-subh se shabnam ki latafat bole 'nazim'-e-khasta ki kya baat chalai yaro wo to diwana hai har shai ko mohabbat bole