dil mein khushbu si utar jati hai sine mein nur sa dhal jata hai khwab ek dekh raha hota hun phir ye manzar bhi badal jata hai chahta hun ki main uth kar dekhun chhat se aakash ka manzar dekhun abhi chhat tak hi pahunchti hai aankh panw zine se phisal jata hai khwab ki gum-shuda tabir hun main ek ajab zabt ki taswir hun main phir bhi in barf si aankhon mein kabhi koi gham hai ki pighal jata hai ek dhuan jo na bikharne de mujhe khak mein bhi na utarne de mujhe jab siyahi ki taraf badhta hun ek diya sa kahin jal jata hai rah chalta hun iradon ke sath shauq ke sath muradon ke sath panw hote hain qarib-e-manzil waqt hathon se nikal jata hai