dil mein kyon hain talkhiyan hum kya kahen dastan-e-jism-o-jaan hum kya kahen rahzanon ki ungliyon ko tham kar chal raha hai karwan hum kya kahen phus ka tha bach na paya aag se jal gaya wo jo makan hum kya kahen milte kis se puchhte bhi kis se hum samne tha bas dhuan hum kya kahen tum shikayat lae kis ki apne pas wo to hai ek be-zaban hum kya kahen ek arse se hamare dil mein bhi raaz us ka hai nihan hum kya kahen dhundte hain zindagi ko wo 'nazar' ho gai gum wo kahan hum kya kahen