dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho

dil mein paiwast kisi gul ki nishani dekho
aao jangal ki taraf raat ki rani dekho

meri aankhon ko mayassar nahin sukh ke aansu
ye jo pani hai zara is ki rawani dekho

tum agar dekh chuke ho meri aankhon ka sarab
aao ab aa ke isi dasht ka pani dekho

itna pyasa hai ki sahil pe zaban pherta hai
tum samundar ki kabhi tishna-dahani dekho

ek pal mein tumhein duniya samajh aa jaegi
is kahani se alag ho ke kahani dekho

misra'a-e-maut lagate hain sab is par 'shahbaz'
zindagi ke liye tum dusra sani dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close