dil mein rahna kabhi khwabon ke nagar mein rahna tum jahan rahna mohabbat ke safar mein rahna khair-maqdam ke liye aaunga main bhi ek din tum abhi silsila-e-sham-o-sahar mein rahna waqt samton ke tayyun ko badal sakta hai tum mere sath mohabbat ke safar mein rahna moajiza ye bhi hai is daur ke fankaron ka aag se khelna aur mom ke ghar mein rahna fikr-e-shair ke darichon se guzar kar dekho kitna dushwar hai logon ki nazar mein rahna gharq hone se bache kitne safine 'gauhar' kaam aaya meri kashti ka bhanwar mein rahna