dil mein rakkha tha sharar-e-gham ko aansu jaan ke han magar dekhe ajab andaz is tufan ke apni majburi ke aaine mein pahchana tujhe yun to kitne hi wasile the teri pahchan ke zakhm khun-alud hain aansu dhuan dete hue ye suhane se namune hain tere ehsan ke dard-o-gham ke tapte sahra ki kadakti dhup mein so gaya hun main teri yaadon ki chadar tan ke dekhiye kab tak haqiqat tak rasai ho 'zuhair' chand taron tak to ja pahunche qadam insan ke