dil mein yun pyar ki ek taza kahani mahke jaise aangan mein kahin raat-ki-rani mahke main ne lafzon ko kahan us ki taraf moda hai zikr aa jae jo us ka to kahani mahke sar se pa tak use khushbu ka khazana kahiye baithe dariya mein utar jae to pani mahke gham ki sadiyon ki amanat hai ghazal ki tahzib 'mir' ke baad usi rang mein 'fani' mahke is ko kahte hain mohabbat ka karishma 'mansur' meri ghazlon mein mera dushman-e-jaani mahke