dil na mana mana ke dekh liya lakh samjha-bujha ke dekh liya log kahte hain dil lagana jise rog wo bhi laga ke dekh liya bewafai hai teri rag rag mein aazma aazma ke dekh liya zakhm dil ka hai la-dawa yaro chaaragar ko dikha ke dekh liya un se nibhta nahin koi rishta dost dushman bana ke dekh liya