dil nahin khinchta hai bin majnun bayaban ki taraf khush nahin aata nazar karna ghazalan ki taraf fasl-e-gul ki hum asiron ko khabar kab hai wale in dinon mein shor sa kuchh hai gulistan ki taraf aag ki mujh ko lagi hai pyas ye kyunkar bujhe kyunki dekhun sair us khurshid-e-taban ki taraf is hawa mein rahm kar saqi ki be-jam-e-sharab dekh kar chhati bhari aati hai baran ki taraf sehr ke dore jo sunte the so ab dekhe 'yaqin' dil khincha jata hai us zulf-e-pareshan ki taraf