dil-nashin hai naqsh teri shoKHi-e-tahrir ka

dil-nashin hai naqsh teri shokhi-e-tahrir ka
mitna to anjam hai har paikar-e-taswir ka

zor-e-wahshat ho gaya ruswa sar-e-sahra-e-shauq
hans raha hai mujh pe har halqa meri zanjir ka

dekh kar mujh ko muqabil dekh kar apna harif
dekh le wo ud gaya pani teri shamshir ka

har shikan bistar ki hai aaina-dar-e-kaifiyat
raat bhar jhagda raha taqdir se tadbir ka

apni barbaadi pe khush hone ka kuchh saman kar
koi pahlu dhund le takhrib mein tamir ka

yaad aayega khuda us ko mere marne ke baad
main to iman le ke dubunga but-e-be-pir ka

shaeri tarz-e-sukhan mein 'khizr' kuchh aasan nahin
sher kah lena bhi to lana hai ju-e-shir ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close