dil ne jab bhi tera khayal kiya khud ko aaina-e-jamal kiya dil ki dhadkan mein bas gaya aise sans lena mera muhaal kiya main ne sach bolne ki jurat ki sach suna aap ne kamal kiya teri yaaden meri muhafiz hain teri yaadon ko main ne dhaal kiya teri chahat ke lamhe lamhe ko dil ne manind-e-mah-o-sal kiya waqt ne kab use rakha zinda kaam jis ne jo be-maal kiya teri qurbat mein bite lamhon ne mujh ko bhi sahab-e-jamal kiya aaine ne tera qasida kaha aaina jab kabhi misal kiya ek hi tha jawab husn ke pas husn se jis ne bhi sawal kiya zindagi ka hai saneha 'rumi' dil ki tanhai ne nidhaal kiya