dil par khun hai yahan tujh ko guman hai shisha shaikh kyun mast hua hai to kahan hai shisha shisha-bazi to tanik dekhne aa aankhon ki har palak par mere ashkon se rawan hai shisha ru-safedi hai naqab-e-rukh shor-e-masti rish-e-qazi ke sabab pamba-dahan hai shisha manzil-e-masti ko pahunche hai unhen se aalam nisha-e-mai-balad wa sang-e-nishan hai shisha darmiyan halqa-e-mastan ke shab us ki ja thi daur-e-saghar mein magar pir-e-mughan hai shisha ja ke puchha jo main ye kar-gah-e-mina mein dil ki surat ka bhi ai shisha-garan hai shisha kahne lage ki kidhar phirta hai bahka ai mast har tarah ka jo tu dekhe hai ki yan hai shisha dil hi sare the pe ek waqt mein jo kar ke gudaz shakl shishe ki banae hain kahan hai shisha jhuk gaya dekh ke main 'mir' use majlis mein chashm-e-bad-dur trahdar jawan hai shisha