dil pukara phans ke ku-e-yar mein rok rakkha hai mujhe gulzar mein farq kya maqtal mein aur gulzar mein dhaal mein hain phul phal talwar mein lutf duniya mein nahin takrar mein lekin un ke bosa-e-rukhsar mein tha jo shab ko saya-e-rukhsar mein tazgi kitni hai basi haar mein fart-e-mayusi ne murda hasraten dafn kar di hain dil-e-bimar mein shad ho jati hai duniya ai rupe kya karamat hai teri jhankar mein aatish-e-ulfat ki dhadkan badh gai gir pada dil shola-e-rukhsar mein aah ke qabze mein hai tasir ya tegh hai dast-e-alam-bardar mein nashtar-e-mizhgan ki tezi ke sabab ek kanta hai dil-e-pur-khar mein aab-e-paikan pas hai lekin nasib phir bhi khushki hai lab-e-sofar mein khair ho 'parwin' dil-e-muztar mera le chala phir kucha-e-dildar mein