dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf

dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf
kaun rokega use jaane se manzil ki taraf

chah kar bhi na agar gham ka mudawa ho to phir
main chali jati hun iman-e-mufassal ki taraf

ye meri man ki dua ka hi samar hai jo mujhe
tund lahron ne uchhaala bhi to sahil ki taraf

chahta kaun hai rahon mein bhatak jaana magar
rasta shar ka hi le jata hai jahil ki taraf

zang jab ruh ke ausaf ko lagta hai to phir
dhadkanen daud ke jati hain nawafil ki taraf

dil mujhe kahta hai dhak dhak ki zaban mein ye hi
jang kar nafs se tu dekh na baatil ki taraf

'shaz' ho jaega tai zist ka be-nam safar
dekh mat tishna nigahon se tu mahmil ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close