dil sa paband-e-tahammul dusra koi nahin

dil sa paband-e-tahammul dusra koi nahin
tutta rahta hai shisha aur sada koi nahin

dil ki dhadkan rahnuma hai justuju-e-shauq mein
ek sada kanon mein aati hai pata koi nahin

kam ziyaada ka gila kya apna apna zarf hai
baada-khwaro is mein saqi ki khata koi nahin

sajda-gah-e-shauq tha un ke qadam ka har nishan
dekh lo naqsh-e-jabin ab naqsh-e-pa koi nahin

harf jitne husn ke hain utne hi hain ishq ke
palle donon dekhiye kam aur siwa koi nahin

khamushi hai ahl-e-ghairat ki tariq-e-arz-e-haal
ye na samjhen aap dil mein muddaa koi nahin

dar nahin 'nawwab' tufan-khez maujon ka mujhe
sath apne hai khuda gar na-khuda koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close