dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen mansur kya banen hawas-e-dar kya karen ab kya sunaen yusuf o zindan ki dastan phir garm jins-e-dard ka bazar kya karen wo saghar-e-nashat ho ya jam-e-zahr-e-gham saqi ne jab diya ho to inkar kiya karen dekhe na apne sath jo koi to kya dikhaen samjhe na koi baat to israr kya karen 'jazbi' nigah mein hai barahana-siri ki shan hum ehtiram-e-turra-e-dastar kya karen