dil se teri yaad ka ek pal juda hota nahin warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin main hi main hoti hun apne aalam-e-imkan mein tu hi tu hota hai koi dusra hota nahin sabr hi karna hai us ka shahr hai aur shahr mein waqia hota nahin ya hadisa hota nahin ghair to phir ghair hai kya waqt ko ilzam dun jab mera hote hue bhi dil mera hota nahin zabt kis ka sabr kis ka kis ka dil kis ki wafa ishq mein koi kisi ka aashna hota nahin jis ki khatir dushmani 'tasnim' duniya se hui dekhiye wo bhi mera hota hai ya hota nahin