dil tamasha hai tamasha-gar nahin hai yar ji so zaban bhi chup rahe behtar nahin hai yar ji hum jahan jis baat par majbur hain aamin hai aap ko apne khuda ka dar nahin hai yar ji dastakon ke khauf tak to baat aaegi nahin hum hain wo diwar jis ka dar nahin hai yar ji ek markaz aap hain jis ka bane hum daera apna koi dusra mehwar nahin hai yar ji raste be-samt hain so manzilon ki fikr kar karwan ka koi bhi rahbar nahin hai yar ji muflisi mein khwab hon to khak achchhi baat hai dekh kar hai faisla sun kar nahin hai haar ji ek zamana do farishte lakh 'sahib' sath hon kam lagegi kul khudai gar nahin hai yar ji