dil to pazhmurda hai dagh-e-gulsitan hon to kya

dil to pazhmurda hai dagh-e-gulsitan hon to kya
aankhen roti hain dahan-e-zakhm khandan hon to kya

dagh-e-gham dil par utha kar marne wale mar gae
burj qabron ke agar sarw-e-charaghan hon to kya

begamen shahzadiyan phirne lagin khana-kharab
ab chudelen sahiban-e-qasr-o-diwan hon to kya

farsh-e-khak ab ahl-e-masnad ko nahin hota nasib
boriya-baf aaj zeb-e-takht-e-sultan hon to kya

masjiden tuti padi hain saumee viran hain
yaad-e-haq mein ek do dil-ha-e-sozan hon to kya

sufiyan-saf-tinat wasil-e-haq ho gae
khud-numa do chaar nang-e-ahl-e-irfan hon to kya

bujh gain shamen jalen parwane to kya faeda
ud gae parwane shamen nur-afshan hun to kya

sakht-jaan o be-haya do chaar hum se jo rahe
har ghadi paband-e-khauf-e-izzat-o-jaan hon to kya

karbala mein ya najaf mein chal ke mar jaen 'munir'
hind mein hum pahlu-e-gor-e-ghariban hon to kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close