dil tujhe naz hai jis shakhs ki dildari par dekh ab wo bhi utar aaya adakari par main ne dushman ko jagaya to bahut tha lekin ehtijajan nahin jaga meri bedari par aadmi aadmi ko khae chala jata hai kuchh to tahqiq karo is nai bimari par kabhi is jurm pe sar kat diye jate the ab to inam diya jata hai ghaddari par teri qurbat ka nasha tut raha hai mujh mein is qadar sahl na ho tu meri dushwari par mujh mein yun taza mulaqat ke mausam jage aaina hansne laga hai meri tayyari par koi dekhe bhare bazar ki virani ko kuchh na kuchh muft hai har shai ki kharidari par bas yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do log utar aae hain zalim ki taraf-dari par