dil un ki mohabbat ka jo diwana lage hai ye aisi haqiqat hai jo afsana lage hai aalam na koi puchhe meri wahshat-e-dil ka ghar apne agar jaun to virana lage hai badhte nahin kyun mere qadam aage ki jaanib nazdik hi shayad dar-e-jaanana lage hai waise to kisi ne mujhe aisa nahin jaana diwana kaha tum ne to diwana lage hai rudad-e-alam un se jo qasid ne bayan ki farmane lage hans ke ye afsana lage hai main ne to banai thi faqat aap ki taswir dil mera magar aaj sanam-khana lage hai ab apna bhi begana nazar aata hai 'wasfi' begana to begana hai begana lage hai