dil wahi ashk-bar rahta hai gham se jo ham-kanar rahta hai main ne dekha khirad ke kandhon par ek junun sa sawar rahta hai lab tabassum mein ho gae mashshaq dil magar sogwar rahta hai ek lamhe bhi soch lun un ko muddaton ek khumar rahta hai dil rahe be-kali ke ghere mein zehn pe tu sawar rahta hai tere khwabon ki lat lagi jab se raat ka intizar rahta hai sach ke dhage se jo bane rishta umr bhar ustuwar rahta hai tere dil ne bhi padh liya kalma jis mein ye gunahgar rahta hai jab se joda hai aap se rishta daman-e-tar, tar rahta hai wo tasawwur mein ek ghadi aaen der tak dil bahaar rahta hai chand se is liye hai pyar mujhe ye bhi yaron ka yar rahta hai ghar mein aate hi mah-jabin ne kaha yan to akhtar shumar rahta hai ab to kar daliye wafa us ko wo jo wada udhaar rahta hai ek taraf gardishen zamane ki ek taraf tera pyar rahta hai tere dar se juda hua muflis ishq mein mal-dar rahta hai man ne de di dua to hashr talak us ka bandha hisar rahta hai dil mein sajde kiya karo 'mufti' is mein parwardigar rahta hai