dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai ai chashm dekh tujh ko main ne sujha diya hai tegh-e-sitam se mera jo khun-baha diya hai qatil ne mere dil ka ye khun-baha diya hai naqsh qadam gali ka teri bana diya hai kyun kar uthun ki dil ne mujh ko bitha diya hai ai chashm gar ye za hai rone ko tere zahmat ro ro ke abr ko bhi tu ne rula diya hai sar-rishta-e-wafa se kya shama-ru hain waqif hum ne patang un se milna uda diya hai dil de ke jaan ka muft ek rog hi kharida daulat se teri main ne ye kuchh liya diya hai jate nazar jidhar hi ek nur jalwa-gar hai mukhde se aaj parda kisi ne utha diya hai tu pan kha ke hansna ek sahal sa hai samjha ye barq wo hai jis ne aalam jala diya hai kyun hum se ho bigadte hum ne to shaikh sahab holi se peshtar hi tum ko bana diya hai kyun kar na mere dil ka shisha ho tukde tukde nazron se is ko zalim tu ne gira diya hai panw se kya jagaya tu ne hi mujh ko goya thokar se bakht-e-khufta mera jaga diya hai kya jaanun ishq kya hai lekin kisi ne 'ehsan' ek aag ka sa shoala dil ko laga diya hai