dilon mein aag labon par gulab rakhte hain sab apne chehron pe dohri naqab rakhte hain hamein charagh samajh kar bujha na paoge hum apne ghar mein kai aaftab rakhte hain bahut se log ki jo harf-ashna bhi nahin isi mein khush hain ki teri kitab rakhte hain ye mai-kada hai wo masjid hai wo hai but-khana kahin bhi jao farishte hisab rakhte hain hamare shahr ke manzar na dekh paenge yahan ke log to aankhon mein khwab rakhte hain