dilon mein khak si udti hai kya na jaane kya talash karti hai pal pal hawa na jaane kya zara sa kan laga ke kabhi suno gae raat kahin se aati hai gum-sum sada na jaane kya musafiron ke dilon mein ajab khazane the ziyan safar tha magar rasta na jaane kya wo kah raha tha na jhankunga aaj subh is mein mujhe dikhae yahi aaina na jaane kya dua ke phul ki khushbu sa phailne wala wo khud mein dhundhta tha gum-shuda na jaane kya nahin hai kis ki nazar mein ufuq koi na koi is aankh mein thi koi shai juda na jaane kya tamam shahr mein gadhe dhuwen ka manzar hai likha hua tha yahan ja-ba-ja na jaane kya wahi bichhadte dilon ki faza-e-ashk-alud wahi safar ki purana naya na jaane kya nikal gaya hai khalaon ki samt ai 'bani' nawah-e-jaan se guzarta hua na jaane kya