dilon mein pyar ka husn-o-jamal paida ho kisi ke shisha-e-dil mein na baal paida ho hamari tez zaban se kabhi khuda na kare kisi ke qalb mein koi malal paida ho nigah-e-aina bhi jis se munharif ho jae kisi ke husn mein kyon wo zawal paida ho jo mere zehn mein yaadon ki titliyan aain shab-e-firaq mein rang-e-visal paida ho khayal hi se hai ijad ka chaman 'faruq' ubhaar zehn ki taza khayal paida ho