dilon se aarzu-e-umr-e-jawedan na gai koi nigah pas-e-gard-e-karwan na gai wo aur chiz hai hote hain jis se dil shadab teri bahaar se virani-e-khizan na gai nikal ke khuld se bhi aadmi na pachhtaya zamin pe bhi chaman-arai-e-guman na gai bas ek kunj-e-qafas tak na aa saki warna saba chali to chaman mein kahan kahan na gai kahan kahan na huin sabt husn ki mohren kali hawa mein bikhar kar bhi raegan na gai meri dua ki ye ghairat hai kitni qabil-e-dad ki lab tak aai magar su-e-asman na gai dayar-e-ishq khandar aur dasht-e-dil sunsan magar 'nadim' ki rangini-e-bayan na gai