dimagh-o-dil pe ho kya asar andhere ka ki dida-war bhi hai ab ham-safar andhere ka dayar-e-nur mein har samt khak udne lagi wajud hone laga mo'atabar andhere ka ye rasta to charaghon se jagmagata hai idhar se hone laga kyun guzar andhere ka ab is ke phulne-phalne mein din hi kitne hain jaden jama to chuka hai shajar andhere ka yahan to raushniyon ka padaw hota hai to kya yahin pe basega nagar andhere ka sisakti shamon ka ye aakhiri thikana hai shurua hoga yahin se safar andhere ka basiraton ke amin hain hamin magar hum ne basa liya hai rag-o-pai mein dar andhere ka manao khair ujalon ke baam-o-dar walo faza mein raqs-kunan hai sharar andhere ka wo apne sath to le kar charagh chalte the shikar kyun hue ahl-e-nazar andhere ka