dimagh un ke tajassus mein jism ghar mein raha main apne ghar hi mein rahte hue safar mein raha wo khak chhanne walon ka dard kya jaane tamam umr jo mahfuz apne ghar mein raha main ham-kanar kabhi ho saka na manzil se hamesha halqa-e-akhlaq-e-rahbar mein raha main jis ke waste bhatka kiya zamane mein wo ashk ban ke sada meri chashm-e-tar mein raha mita saka na adawat zamin par insan kabhi khala mein kabhi 'anjum'-o-qamar mein raha