din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga ya to tha waisa karam ya ye sitam hone laga sach kaho taqsir kya hai aashiq-e-mazlum ki nimcha tirchhi nigah ka kyun alam hone laga tegh-e-abru kun nipat kaste ho pan hairan hun main kaun se bimar par ye aab dam hone laga shukr-e-allah sarw-e-rana ke tasawwur ke tufail rafta rafta dil mera bagh-e-iram hone laga bas karo ai shah-e-fauj-e-husn qatl-e-am kun aashiqon ki aah ka neza alam hone laga tujh kun ai aahu-nigah kis ne sikhaya ye tarah ya to tha auron sin ram ya hum sin ram hone laga hijr ki raaton mein ye misra hua wird-e-'siraj' din-ba-din ab lutf tera hum pe kam hone laga