din bahut raat bahut subh bahut sham bahut

din bahut raat bahut subh bahut sham bahut
aae har-waqt mere hisse mein ilzam bahut

apne kirdar se mayus nahin hota main
kaam aa jata hun rahte hue nakaam bahut

zahr-o-ruswai kabhi hai to kabhi dar-o-salib
pae ushshaq ne sach kahne ke inam bahut

is liye ho gaya mashhur zamane bhar mein
mere rishton ne mujhe kar diya badnam bahut

zulmat-e-gham hi mere ghar ka muqaddar thahri
zakhm ki shama se raushan hain dar-o-baam bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close