din guzrega raat ka manzar aaega shahr-e-junun mein phir wo khud-sar aaega sari umr guzar jaegi tab shayad umr ke aakhir hisse mein ghar aaega ruth ke mujh se jaane wala sham dhale ban kar khwab meri palkon par aaega achchhe din ki aas lagae baithe hain jaane kab phir din wo behtar aaega nain chura kar pher ke munh jaane wala khwab mein aakhir mere shab-bhar aaega likh likh kar sari duniya thak jaega mujh ko likhna tab pani par aanega